kabhi tum ne kuchh to diya nahin kabhi hum ne kuchh to liya nahin hamein zindagi se ho bahs kya koi waqia to hua nahin magar aisi koi khalish bhi thi jo faqat hamara nasib thi ki jo rog hum ne laga liya kisi aur ko to laga nahin zara dekhna ki wo kaun hai pas-e-ramz-e-wahshat-e-ashiqi bhala kis ne hum ko shikast di kabhi pahle aisa hua nahin jise pas aana tha aa gaya aur nafas ke tar bhi jud gae ki talab ki thin yahi manzilen koi fasla to raha nahin badi wusaten hain zamin par hamein aur chahiye kya magar wo jo husn us ki nazar mein hai koi us se badh kar mila nahin wo jo mil chuki hain aziyyaten chalo man len ki bahut hua magar ab mila hai jo hausla kisi aur ko to mila nahin