apni aankhen jo band kar dekhun sabz khwabon ka main safar dekhun dubne ki na tairne ki khabar ishq-dariya mein bas utar dekhun baad us ke nahin khabar kya hai aaine tak to chashm tar dekhun dil mein bajta hua dhadakta hua apni tanhai ka gajar dekhun bain karti hui bahaaron mein khud mein ek shor-e-khair-o-shar dekhun khwab ki lahlahati wadi mein khushbuon se bana nagar dekhun aasman le raha hai angdai titliyon ke nagar mein dar dekhun mauja-e-gul ke hath mein lipti 'asima' dasht ki khabar dekhun