kabhi un ka nam lena kabhi un ki baat karna mera zauq un ki chahat mera shauq un pe marna wo kisi ki jhil aankhen wo meri junun-mizaji kabhi dubna ubhar kar kabhi dub kar ubharna tere manchalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai na kisi ki baat sunna, na kisi se baat karna shab-e-gham na puchh kaise tere mubtala pe guzri kabhi aah bhar ke girna kabhi gir ke aah bharna wo teri gali ke tewar, wo nazar nazar pe pahre wo mera kisi bahane tujhe dekhte guzarna kahan mere dil ki hasrat, kahan meri na-rasai kahan tere gesuon ka, tere dosh par bikharna chale lakh chaal duniya ho zamana lakh dushman jo teri panah mein ho use kya kisi se darna wo karenge na-khudai to lagegi par kashti hai 'nasir' warna mushkil, tera par yun utarna