chhanw auron ke liye hai to samar auron ke kaam aate hain hamesha hi shajar auron ke wo hai aaina use fikr ho kyun kar apni wo batata hai faqat aib-o-hunar auron ke jang maidan se kamron mein simat aai hai ghar na jaana kabhi be-khauf-o-khatar auron ke ahd-e-nau teri siyasat ka karam hai ki yahan jism apne hain magar jismon pe sar auron ke bakhshne wale hamein bakhsh de apni taqat ab na rahe paenge hum dast-nigar auron ke mujh ko apnon ne wo tabiren ata ki hain ki aaj khwab palkon pe sajata hun magar auron ke ye bhi kya baat ki har sans ho khud se mansub zindagi nam hi karna hai to kar auron ke