kabhi us par yun bhi mera asar jae gali se meri guzre to thahar jae wo bhi gar be-dili se thukra de mujh ko to phir ye dil kise chahe kidhar jae nahin chahat mujhe ab ghar sajaane ki ji to karta hai ab sab kuchh bikhar jae guzarti hai qayamat mere is dil par kabhi jo samne se wo guzar jae hai jadu ungliyon mein is qadar us ki ki jis ko pyar se chhu le nikhar jae yahi ek iltija hai chand se meri kabhi aangan mein utre to thahar jae kaho 'satyarth' kuchh yun baat tum apni ki har ek shakhs par is ka asar jae