kabhi use to kabhi khud ko dekhte rahna isi madar mein din raat ghumte rahna hum apna farz karenge ada ba-har surat hamara kaam hai rahen tarashte rahna wo mahw hona mera sham se teri dhun mein tamam raat teri rah dekhte rahna na hone dena kabhi past hauslon ki fasil kamand chand sitaron pe dalte rahna uthae rakhna isi ek usul ka parcham bura na karna bhala sab ka chahte rahna najat tira-shabi se jo chahte ho 'zafar' nuqush-e-subh-e-darakhshan ubhaarte rahna