khush-numai se mawara tu hai hai agar koi haq-numa tu hai tu hi mehwar hai meri gardish ka aur markaz bhi ba-khuda tu hai mera maqsad nahin hai did faqat mera har ek muddaa tu hai jaan lewa hai zahr wahshat ka jis ka tiryak maut ya tu hai fahm-o-idrak se jo baala hai wo kahani wo majra tu hai darmiyan bhi hai inikas tera ibtida aur intiha tu hai mujh ko tughyaniyon ka khauf nahin meri kashti ka nakhuda tu hai tu hi saqi hai hauz-e-kausar ka tu mohammad hai mustafa tu hai