kabhi wafaen kabhi bewafaiyan dekhin main un buton ki gharaz aashnaiyan dekhin hum uth chale jo kabhi us gali ko wahshat mein to us ghadi na kuen aur na khaiyan dekhin zahe nasib hain us ke ki jis ne wasl ki shab gale mein apne wo nazuk kalaiyan dekhin ye satah-e-khak hai kya razm-gah ka maidan ki jis pe hoti hui nit ladaiyan dekhin gali mein us ki ye bazar-e-marg garm hua ki dad khwahon ki wan chaarpaiyan dekhin rakha na khat kabhi aariz pe us pari-ru ne ba-rang-e-aina nit wan safaiyan dekhin hunuz jite rahe hain to sakht-jaani se wagarna hum ne bhi kya kya judaiyan dekhin na hath aai mere 'mushafi' wo zulf-e-rasa main taleon ki bhi apne rasaiyan dekhin