husul kaam ka dil-khwah yan hua bhi hai samajat itni bhi sab se koi khuda bhi hai mue hi jate hain hum dard-e-ishq se yaro kaso ke pas is aazar ki dawa bhi hai udasiyan thin meri khanqa mein qabil-e-sair sanam-kade mein to tik aa ke dil laga bhi hai ye kahiye kyunke ki khuban se kuchh nahin matlab lage jo phirte hain hum kuchh to muddaa bhi hai tera hai wahm ki main apne pairahan mein hun nigah ghaur se kar mujh mein kuchh raha bhi hai jo kholun sina-e-majruh to namak chhidke jarahat us ko dikhane ka kuchh maza bhi hai kahan talak shab-o-roz aah-e-dard-e-dil kahiye har ek baat ko aakhir kuchh intiha bhi hai hawas to dil mein hamare jagah kare lekin kahin hujum se andoh-e-gham ke ja bhi hai gham-e-firaq hai dumbaala-e-gard aish-e-visal faqat maza hi nahin ishq mein bala bhi hai qubul kariye teri rah mein ji ko kho dena jo kuchh bhi paiye tujh ko to aashna bhi hai jigar mein sozan-e-mizhgan ke tin kadhab na gado kaso ke zakhm ko tu ne kabhu siya bhi hai guzar shahr-e-wafa mein samajh ke kar majnun ki is dayar mein 'mir' shikasta-pa bhi hai