kabhi yaqin ki duniya mein jo gae sapne udasiyon ke samundar mein kho gae sapne baras rahi thi haqiqat ki dhup ghar bahar sahm ke aankh ke aanchal mein kho gae sapne kabhi uda ke mujhe aasman tak lae kabhi sharab mein mujh ko dubo gae sapne hamin the nind mein jo un ko saeban samjha khuli jo aankh to daman bhigo gae sapne khuli rahi jo meri aankh mere marne par sada sada ke liye aaj kho gae sapne