mere sine se ranj-o-gham ki tughyani nahin jati ilahi kya karun dil ki pareshani nahin jati mujhe ghairon ke jhute dawa-e-ulfat se kya matlab ghazab ye hai meri haq baat bhi mani nahin jati kiya us chashm-e-ishq-afroz ne barbaad duniya mein magar phir bhi nazar ki fitna-samani nahin jati tahayyur hai mohabbat ke nataej tu ne dekhe hain magar afsos ai dil teri nadani nahin jati pade hain pech sumbul mein yahan aaina hairan hai tajjub hai ki gesu ki pareshani nahin jati jahan mein har taraf saman-e-ishrat bhi muhayya hai sabab kya hai meri gham ki farawani nahin jati dilaya yaad us paiman-shikan ko wada kyun main ne pareshan hun kisi surat pashemani nahin jati hazaron namwar aa kar base shahr-e-khamoshan mein magar is sar-zamin ki phir bhi virani nahin jati pae daryaft asrar-e-haqiqat sab hain sargardan falak ke par lekin aql-e-insani nahin jati natija nek hai isar ka duniya-o-uqba mein haqiqat mein kabhi be-kar qurbani nahin jati asar kya khak ho meri fughan ka us pe ai 'hafiz' meri aawaz tak us ghar mein pahchani nahin jati