kabhi zamin kabhi aasman se laDta hai

kabhi zamin kabhi aasman se ladta hai
ajib shakhs hai sare jahan se ladta hai

kisi ke ishq ki mannat ka tel hai us mein
isi liye to diya aastan se ladta hai

hamein ye banjh bahu be-nishan kar degi
ye baat kah ke wo bete ki man se ladta hai

kiraye-dar ki nind is qadar pareshan hai
wo roz khwab mein malik makan se ladta hai

ye kis ke qarz ka hai bojh meri mayyat par
ye kaun hai jo mere khandan se ladta hai

dua hai khair ho us ghar ki jis mein ro ro kar
koi buzurg kisi naujawan se ladta hai

bas ek khas nishani hai mere madfan ki
ki is makan mein koi la-makan se ladta hai

bade yaqin se kuchh be-yaqin mangte hain
wo ek yaqin jo wahm-o-guman se ladta hai

azan deta hun jab main sukhan ki masjid mein
har ek be-nawa meri azan se ladta hai

main apne ahd ka 'wasif' hun aur shair hun
zamana kis liye mujh na-tawan se ladta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close