sitam ke parde mein phir karam kar sukun ko iztirab kar de dil-e-fasurda ko zindagi de shabab ko phir shabab kar de ye mana lakhon hikayaten hain hazaron dil mein shikayaten hain magar kahen kya jo ek nazar mein koi hamein la-jawab kar de thahar dil-e-be-qarar dam bhar wo aae hain be-hijab ho kar sambhal ki ye iztirab-e-nau hi kahin na hail naqab kar de wo aalam-e-be-khudi ho dil par wo kaifiyat be-hisi ki chhae jo aarzu-e-karam mita de jo be-niyaz-e-itab kar de na aaega lab pe harf-e-matlab na khul sakegi zaban-e-'kaifi' nigah-e-hasrat ko tarjuman kar khamoshiyon ko jawab kar de