kabhu na us rukh-e-raushan pe chhaiyan dekhin ghataen chand pe sau bar chhaiyan dekhin fatadgi mein jo izzat hai sar-kashi mein kahan ki naqsh-e-pa ki yahan rah-numaiyan dekhin balaen lewe hai hathon se us ki zulfon ki ye dast-e-shana ki hum ne rasaiyan dekhin chaman mein nakhun-e-har-barg-e-gul se bulbul ki hazar rang se uqda-kushaiyan dekhin zaban-e-tesha bahut kaam aai ai farhad jo ishq ne teri zor-azmaiyan dekhin nazar mein apni wo phirti hain suraten haihat falak ne khak mein kya kya milaiyan dekhin kisu ne li na khabar gharq-e-bahr-e-ulfat ki in aashnaon ki ye aashnaiyan dekhin hamari us ki kudurat ki wajh kuchh na rahi ki aaine ne dilon ki safaiyan dekhin hum apna tujh ko hawa-khwah jaante the saba bahaaren tu ne bhi tanha udaiyan dekhin bayan kis se karun apni tira-bakhti ka andheri raaten wo ai dil phir aaiyan dekhin 'nasir' kije wafa kab talak ba-qaul-e-'mir' jafaen dekh liyan bewafaiyan dekhin