sulaiman-e-sukhan to khair kya hun yake az shahr-e-yaran-e-saba hun wo jab kahte hain farda hai khush-aind ajab hasrat se mud kar dekhta hun firaq ai man ki main zina-ba-zina kali hun gul hun khushbu hun saba hun sahar aur dopahar aur sham aur shab main in lafzon ke mani sochta hun kahan tak kahili ke tan sunta thakan se chur ho kar gir pada hun taraqqi par mubarakbaad mat do rafiqo mein akela rah gaya hun kabhi rota tha us ko yaad kar ke ab aksar be-sabab rone laga hun sune wo aur phir kar le yaqin bhi badi tarkib se sach bolta hun