kadi mehnat hai ya ye tyag hai ya ye tapasya hai main aksar sochti rahti hun meri zindagi kya hai anubhaw zindagi ki sab se achchhi pathshaala hai magar kambakht us ki fees itni hai ki tauba hai wo mujh se kah raha hai ishq hai ek aag ka dariya to phir is aag mein tu kud ja na dekhta kya hai tumhaare pas to sab kuchh hai bas ek main nahin to kya meri aankhon ki angnai mein ek yaadon ka mela hai kisi ka koi ho jae nahin ab farq padta hai ye dil to kal bhi tanha tha ye dil to ab bhi tanha hai nadi talab jharne aur kuen hain jis ke qabze mein magar hairat ye hai wo shakhs ab bhi kitna pyasa hai meri shohrat mera samman sab us ki nawazish hai magar main sochti hun 'anjana' is mein mera kya hai