kuchh log sirf hum ko satane mein rah gae aur hum talluqat nibhane mein rah gae hum ne to mushkilat mein manzil talash ki ek wo hai jo ki hum ko girane mein rah gae dil tak kisi ke jaana hai par jaen kis tarah jaana to chahte the na jaane mein rah gae apne atit se kiya samjhauta na kabhi kuchh yaadgar pal bhi bhulane mein rah gae hum ne to dard ki nai rachnaen likh bhi din kuchh log sirf khane kamane mein rah gae gar tu khuda nahin hai to itna ghamand kyon hum us ko ye bhi yaad dilane mein rah gae us ne hamare panw mein zanjir dal di hum us se sirf hath milane mein rah gae jin ke liye hawan mein hui sari zindagi wo log bas mujhi ko jalane mein rah gae kuchh aur un se ho na saka 'anjana' to phir wo mujh ko apna roab dikhane mein rah gae