kadi nigah rakhega wo sim-tan mujh par ki mehrban hai kisi phul ka badan mujh par main ek khoi hui aag ki talash mein tha shaguft hone lage hain magar chaman mujh par phir ek bar wahi dhup odh kar niklun karega chhanw agar aaj bhi gagan mujh par firaq-o-wasl haqiqat mein ek hon ki na hon kisi ke ishq mein lazim hai husn-e-zan mujh par alag alag hi rahenge dam-e-visal bhi hum main apne man pe fida hun na mera man mujh par kisi tilism se raushan hai mera dil 'sajid' dayar-e-ghaib se utrega koi fan mujh par