jab ham-baghal wo sarw qaba posh ho gaya qumri ka tauq halqa-e-aghosh ho gaya ashaar mere sun ke wo khamosh ho gaya ghuncha ba-rang-e-gul hama-tan-gosh ho gaya pi ghair ne sharab mujhe be-khudi hui nashsha chadha kisi ko main behosh ho gaya is darja be-khudi ne dikhain talliyan gardun ghubar-e-qafila-e-hosh ho gaya tegh-e-ajal ki kat se darta nahin hun main zakhmon se jism-e-zar zira-posh ho gaya ai but khayal-e-wasf-e-dahan mein na pai rah bhatka phira sukhan jo main khamosh ho gaya khun-khwaron ke huzur na aaya hamari tarah aaina jauharon se zira-posh ho gaya talea jagae aap ne arbab-e-ishq ke yusuf ka husn khwab-e-faramosh ho gaya pinhan hai zer-e-sabza-e-khat aatish-e-ezar shoala fusun-e-husn se khas-posh ho gaya huren gale lipatti hain aa aa ke raat din jannat ki rah kucha-e-aghosh ho gaya us mast-e-husn ki nigah-e-garm ke huzur aaina-e-jam baada-e-sar-josh ho gaya be-lutfiyon se tum jo mile main ne jaan di phansi gale mein halqa-e-aghosh ho gaya abr-e-siyah ke saye ne surma khila diya sabza tamam tuti-e-khamosh ho gaya kandhon se mere katib-e-amal gir pade tadpa main is qadar ki subuk-dosh ho gaya kanon ka husn jalwa-e-ariz se pad gaya rukh aaftab-e-subh buna-gosh ho gaya udta hun ishq mein lab lalin ke ai 'munir' goya sharar aatish-e-khamosh ho gaya