kaenat-e-arzu mein hum basar karne lage sab bahut nafrat se kyun hum par nazar karne lage tere har lamhe ka hum ne aaj tak rakkha hisab ye alag hai baat khud ko be-khabar karne lage zindagi ko alwidaa kah kar chala jaunga main jab meri tanhai mujh ko dar-ba-dar karne lage mulk ki barbaadiyan us waqt tai ho jaengi jab buri tahzib bachchon par asar karne lage ya-khuda rah-e-wafa par rahbari karna meri jab mujhe gumrah mera ham-safar karne lage chhod kar us waqt ohde khud chala jaunga main shak jahan koi mere iman par karne lage ishq ke us mod ko sab log kahte hain junun dil kisi ko yaad jab sham-o-sahar karne lage