kaf-e-momin se na darwaza-e-dauran se mila

kaf-e-momin se na darwaza-e-dauran se mila
rishta-e-dard usi dushman-e-iman se mila

is ka rona hai ki paiman-shikani ke ba-wasf
wo sitamgar usi peshani-e-khandan se mila

talib-e-dast-e-hawas aur kai daman the
hum se milta jo na yusuf ke gareban se mila

koi baqi nahin ab tark-e-talluq ke liye
wo bhi ja kar saf-e-ahbab-e-gurezan se mila

kya kahen is ko jo mahfil mein shanasa bhi na tha
kabhi khalwat mein dar aaya to dil-o-jaan se mila

main usi koh-sifat khun ki ek bund hun jo
reg-zar-e-najaf o khak-e-khurasan se mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close