kahin se koi harf-e-mo'tabar shayad na aae musafir laut kar ab apne ghar shayad na aae qafas mein aab-o-dane ki farawani bahut hai asiron ko khayal-e-baal-o-par shayad na aae kise malum ahl-e-hijr par aise bhi din aaen qayamat sar se guzre aur khabar shayad na aae jahan raaton ko pad rahte hon aankhen mund kar log wahan mahtab mein chehra nazar shayad na aae kabhi aisa bhi din nikle ki jab suraj ke hamrah koi sahib-nazar aae magar shayad na aae sabhi ko sahl-angari hunar lagne lagi hai saron par ab ghubar-e-rahguzar shayad na aae