kafir tha main KHuda ka na munkir dua ka tha

kafir tha main khuda ka na munkir dua ka tha
lekin yahan sawal shikast-e-ana ka tha

kuchh ishq-o-ashiqi pe nahin mera e'tiqad
main jis ko chahta tha hasin intiha ka tha

jal kar gira hun sukhe shajar se uda nahin
main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha

tarik raat mausam-e-barsat jaan-e-zar
girdab pichhe samne tufan hawa ka tha

ek umr baad bhi na shifa ho sake to kya
rag rag mein zahr sadiyon ki aab-o-hawa ka tha

go rahzan ka war bhi kuchh kam na tha magar
jo war kargar hua wo rahnuma ka tha

'akbar' jahan mein kar-kushai buton ki thi
achchha raha jo manne wala khuda ka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close