kaha tha us ne mohabbat ki aabru rakhna chubhe hon kitne bhi kante gulon ki khu rakhna dilon ko tod na dale tumhaari haq-goi bajae harf ke aaina ru-ba-ru rakhna jo waqt ahl-e-wafa se kabhi lahu mange to sab se pahle lab-e-tegh par gulu rakhna khizan se haar na jaana kisi bhi haalat mein numu mile na mile khwahish-e-numu rakhna bura na kahna zamane ko hum zamana hain hamare baad zamane se guftugu rakhna faqih-e-shahr ke fatwe ki haisiyat kya hai to khud ko apni nigahon mein surkh-ru rakhna visal-e-dost ki saat bhi aane wali hai sahar qarib hai 'akbar' abhi wazu rakhna