kaghaz kaghaz dhul udegi fan banjar ho jaega jis din sukhe dil ke aansu sab patthar ho jaega tutengi jab nind se palken so jaunga chupke se jis jangal mein raat padegi mera ghar ho jaega khwabon ke ye panchhi kab tak shor karenge palkon par sham dhalegi aur sannata shakhon par ho jaega raat qalam le kar aaegi itni siyahi chhidkegi din ka sara manzar-nama be-manzar ho jaega nakhun se bhi int kureden mil-jul kar ham-sae to aangan ki diwar na tute lekin dar ho jaega 'qaisar' ro lo ghazlen kah lo baqi hai kuchh dard abhi agli ruton mein yun lagta hai sab patthar ho jaega