wo mera dost hai aur mujh se wasta bhi nahin jo qurbaten bhi nahin hain to fasla bhi nahin kise khabar thi ki us dasht se guzarna hai jahan se laut ke aane ka rasta bhi nahin kabhi jo phut ke ro le to chain pa jae magar ye dil mere pairon ka aabla bhi nahin suna hai wo bhi mere qatl mein mulawwis hai wo bewafa hai magar itna bewafa bhi nahin wo so saka na jise chhin kar kabhi mujh se main us zamin ke bare mein sochta bhi nahin suna tha shahr mein har su tumhaara charcha hai yahan to koi 'nafas' tum ko jaanta bhi nahin