kaghaz pe tera naqsh utara nahin gaya mujh se koi khayal sanwara nahin gaya mil ke laga hai aaj zamane thahar gae tujh se bichhad ke waqt guzara nahin gaya tufan mein bhi dub na pai meri ana duba magar kisi ko pukara nahin gaya khushiyon ke qahqahe hain har ek samt gunjte lagta hai koi shahr mein mara nahin gaya insan wahshiyon ki tarah hain ki aaj tak mafhum zindagi ka ubhaara nahin gaya aaraish-e-jamal kisi kaam ki nahin ru-e-amal ko jab ki nikhaara nahin gaya