to tai hua na ki jab bhi likhna ruton ke sare azab likhna ujad mausam main tapte sahra ko aab likhna habab likhna qarar-e-jaan hai tumhaara wada ki ghar pahunch kar main bhej dungi main muntazir hon tumhaare khat ka shikayaton ka jawab likhna mujhe yaqin hai nasib mera na sath dega ki tajraba hai sukun ko iztirab kahna haqiqaton ko sarab likhna ye teri ghazlen bayan nahin hain visal-e-shab ki nawazishon ka jo ho sake masnawi mein sara wo aks-e-kaif-e-shabab likhna aziyyaton ke safar mein main ne bharam rakha phir bhi hauslon ka munafiqat ke jahan mein mujh ko sadaqaton ka nisab likhna ye daur ahl-e-qalam pe bhaari ki maslahat ki sabil jari gunah ko bhi sawab kahna babul ko bhi gulab likhna hawa ke mathe pa darj tahrir mausamon ki tamazaton se jo mit gai hai to kya hua hai nae sire se ye bab likhna gulab-rut mein ye zardiyon ke nuqush chehre pe dekh lena hamare bare main kuchh na kahna pa ibraton ki kitab likhna hari bhari khetiyan kahan hain mere muqaddar ke zaiche hain shahid-e-ishq-e-wafa ka 'tahir' hatheliyon par hisab likhna