kaghaz tha main diye pe mujhe rakh diya gaya ek aur martabe pe mujhe rakh diya gaya ek be-badan ka aks banaya gaya hun main be-ab aaine pe mujhe rakh diya gaya kuchh to khinchi khinchi si thi saat visal ki kuchh yun bhi fasle pe mujhe rakh diya gaya munh-mange dam de ke kharida aur us ke baad ek khas zawiye pe mujhe rakh diya gaya kal raat mujh ko chori kiya ja raha tha yar aur mere jagne pe mujhe rakh diya gaya achchha bhala pada tha main apne wajud mein duniya ke raste pe mujhe rakh diya gaya pahle to meri mitti se mujh ko kiya charagh phir mere maqbare pe mujhe rakh diya gaya 'anjum' hawa ke zor pe jaana hai us taraf pani ke bulbule pe mujhe rakh diya gaya