kaghazi kashtiyan banate the hum farishton ke kaam aate the us ko dekha to aaj yaad aaya hum kabhi sog bhi manate the khwab phirte the aankh mein shab-bhar hum gali mein sada lagate the log hanste the is liye hum par hum giri jhandiyan uthate the ab to hire tarashte hain bas pahle hum bhi khuda banate the