jo suli ke muqaddar mein rakhe the hum aise bad-nasibon ke gale the hamara waqt pura ho raha tha kisi ke munh pe barah baj rahe the aziyyat lutf dene lag gai thi so nakhun se kalai katte the mohabbat mujh ko kafir kar rahi hai mere donon farishton ke gile the zamin sona ugalne lag padi thi mere hathon ke chhaale badh rahe the shahanshah jab sitam dhane pe aaya khuda chup tha magar hum to lade the koi sundar pujaran mar gai thi tabhi to dewta roe hue the koi takhti nahin thi shahr-bhar mein ki chaurahon pe bas murde gade the