kah chuke hain sab bacha kuchh bhi nahin mere sheron mein naya kuchh bhi chal rahe hain hasraton ke nam par hai kahan jaana pata kuchh bhi nahin dil ye kahta hai ki main ne sun liya us ne haalanki kaha kuchh bhi nahin ab to qimat zor-o-zar ki hai yahan pyar isar-o-wafa kuchh bhi nahin sar jhukata phir raha hai dar-ba-dar wo jo kahta tha khuda kuchh bhi nahin