KHafa ho kar KHayalon mein bhi aana chhoD dete hain

khafa ho kar khayalon mein bhi aana chhod dete hain
kisi ko yar is darja bhi tanha chhod dete hain

samajhte hi nahin hain log na-samjhi ki mushkil ko
suhulat dekhte hain aur samajhna chhod dete hain

ye hum bhi jaante hain mulk-giri shauq hai be-ja
magar hum jit kar fauran ilaqa chhod dete hain

tere do ghunt pi kar tishnagi bhadki to ye jaana
wahi achchhe hain jo bilkul piyasa chhod dete hain

hamare dil mein ab taqat nahin sadme uthane ki
bahut bhane lage jo us se milna chhod dete hain

guzarti hain jo fil-e-shab pe saj-dhaj kar teri yaaden
hum un par apne sag-ha-e-tamanna chhod dete hain

hamare munh pe us ne aaine se dhup tak phenki
abhi tak hum samajh kar us ko bachcha chhod dete hain

tumhaara jaise ji chahe koi anjam likh lena
chalo hum aaj ye qissa adhura chhod dete hain

hamesha jaan dete hain udhar mashuq duniya par
idhar aashiq wahi duniya hamesha chhod dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close