kah gaya kuchh to zer-e-lab koi jaan deta hai be-sabab koi jawe qasid udhar to ye kahiyo rah takta hai roz o shab koi go ki aankhon mein apni aawe jaan munh dikhata hai hum ko kab koi ban gaya hun main surat-e-diwar samne aa gaya hai jab koi garche hum sae us pari ke rahe na mila jhankne ka dhab koi had khush aaya ye sher-e-'mir' mujhe kar ke laya tha muntakhab koi ab khuda maghfirat kare us ki 'mir' marhum tha ajab koi ai falak us ko tu ghanimat jaan 'mushafi' sa nahin hai ab koi