idhar se abr uth kar jo gaya hai hamari khak par bhi ro gaya hai masaib aur the par dil ka jaana ajab ek saneha sa ho gaya hai muqamir-khana-e-afaq wo hai ki jo aaya hai yan kuchh kho gaya hai kuchh aao zulf ke kuche mein darpesh mizaj apna udhar ab to gaya hai sirhane 'mir' ke koi na bolo abhi tuk rote rote so gaya hai