kah kar wo shab-ba-khair du'a de ke so gaya bechain aarzu ko ye kya de ke so gaya dala hai aaj kaise pas-o-pesh mein mujhe taswir apni jaan-e-ada de ke so gaya tang aa ke meri tifl-mizaji se aakhirash khwab-awari ki mujh ko dawa de ke so gaya kitni shabon ka jaga wo duniya ko tohfatan zarb-e-kalim bang-e-dara de ke so gaya jaga to nim-shab mein wo makkar santari sab jagte raho ye sada de ke so gaya wo ek nigah-e-naz-o-ada dalne ke ba'd bimar dil ko dard naya de ke so gaya dil dubta hai 'nazr' to ham-raaz wo mera apna jamal apni wafa de ke so gaya