kah rahi hai sari duniya tera diwana mujhe

kah rahi hai sari duniya tera diwana mujhe
teri nazron ne bana dala hai afsana mujhe

ishq mein ab mil gai hai mujh ko meraj-e-junun
ab to wo bhi kah rahe hain apna diwana mujhe

dars-e-ibrat hai tumhaare waste mera maal
ghuncha o gul ko sunana hai ye afsana mujhe

ek nigah-e-naz ne saqi ki ye kya kar diya
rafta rafta kah uthe sab pir-e-mai-khana mujhe

tu sarapa nur hai main tera aks-e-khas hun
kah rahe hain yun tera sab aaina-khana mujhe

sun rahi thi shauq se duniya jise ai ham-nafas
yaad hai han yaad hai wo mera afsana mujhe

nur se bhar pur ho jati hai bazm-e-arzu
jab kabhi wo dekhte hain be-hijabana mujhe

al-madad ai zohd badh kar rok le mere qadam
tishnagi phir le chali hai su-e-mai-khana mujhe

ham-nafas meri to fitrat hi sana-e-husn hai
ishq ke bande kaha karte hain diwana mujhe

mujh ko 'qaisar' mai-kade se nikle ek muddat hui
yaad karte hain abhi tak jam o paimana mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close