dil-e-khun-gashta-e-jafa pe kahin ab karam bhi garan na ho jae tere bimar ka khuda-hafiz nazr-e-chaara-garan na ho jae ishq kya kya na aafaten dhae husn gar mehrban na ho jae mai ke aage ghamon ka koh-e-giran ek pal mein dhuan na ho jae phir 'majaz' in dinon ye khatra hai dil halak-e-butan na ho jae