kaha din ko bhi ye ghar kis liye viran rahta hai yahan kya hum sa koi be-sar-o-saman rahta hai dar-o-diwar sannate ki chadar mein hain khwabida bhala aisi jagah zinda koi insan rahta hai musalsal puchhne par ek chilman se jawab aaya yahan ek dil-shikasta sahab-e-diwan rahta hai jhijak kar main ne puchha kya kabhi bahar nahin aata jawab aaya use khalwat mein itminan rahta hai kaha kya us ke rishta-dar bhi milne nahin aate jawab aaya ye sahra raat-din sunsan rahta hai kaha koi to hoga us ke dukh-sukh bantne wala jawab aaya nahin khali ye ghar ye lawn rahta hai kaha is ghar ke aangan mein hain kuchh phulon ke paude bhi jawab aaya ki khali phir bhi har gul-dan rahta hai kaha kya is mohalle mein nahin pursan-e-haal us ka jawab aaya khayal us ka mujhe har aan rahta hai khuda ka shukr hai hum ek faza mein sans lete hain agar milte nahin itna to itminan rahta hai