kaam hai un ka jafa wo ba-wafa kahne ko hain dete hain jo dard-e-dil ahal-e-shifa kahne ko hain hum to samjhe the wo sahil par utarenge hamein dal di naw bhanwar mein na-khuda kahne ko hain faslon se kam na honge ruh ke rishte kabhi wo hamesha dil mein hain dil se juda kahne ko hain munfarid un ki mohabbat munfarid un ki wafa duriyan rakhte hain phir bhi ham-nawa kahne ko hain un ki ek abru ki jumbish bhi sukhan-war hai bahut hai zaban bhi un ke munh mein muddaa kahne ko hain dusron ko rasta dikhlaenge wo kis tarah rah-e-gum-karda hain khud aur rahnuma kahne ko hain ho gai hai aagahi un se 'sabiha' is qadar jaan leti hun main itna ab wo kya kahne ko hain