kaha gaya na kabhi aur kabhi suna na gaya main aisa harf hun jo aaj tak likha na gaya daba ke honton mein lai thi muddaa kya kya magar wo samne aaya to kuchh kaha na gaya bichhad ke tum se abhi tak bhatak rahi hun main tumhaare ghar ki taraf koi rasta na gaya abhi bhi yaad hai tum ko hamare hath ki chae khuda ka shukr abhi tak wo zaiqa na gaya kai mawaqe meri zindagi mein aae magar kisi pe hans liye itna ki phir hansa na gaya main apne chehre par aankhen talash karti rahi wo jab talak mujhe apni jhalak dikha na gaya main aate aate nishane pe rah gai 'rakhshan' ki ab ke bar bhi us ka ghalat nishana gaya