na mauj-e-baada na zulfon na in ghataon ne mujhe dasa hai meri shola-za nawaon ne gham-e-hayat se takra ke git ban jaana sikha diya hai mujhe aap ki duaon ne jo kaj-kulah-e-dayar-e-tarab hain sab kuchh hain mujhe to lut liya hai meri wafaon ne kabhi kabhi to suna hai hila diye hain mahal hamare aise gharibon ki iltijaon ne tumhaara husn ho ya meri shaeri un ko amar kiya hai mohabbat ki aatmaon ne gham-e-hayat o gham-e-dil bahut sahi lekin koi sawal kiya hai abhi ghataon ne kisi chaman kisi gul-pairahan ke ghar jaen mujhi ko tak liya madh-bhari hawaon ne ajib baat hai main jab bhi kuchh udas hua diya sahaara harifon ki bad-duaon ne main but-kadon se maqabir mein girne wala tha magar sambhaal liya khush-nazar khudaon ne khabar hai garm ki ek tark-e-lucknow ko 'salam' asir kar liya dilli ki apsaraon ne