kaha jhunjhla ke ahl-e-qafila se ek rahbar ne abhi to pahli manzil hai abhi se kyun lage darne mukammal dastan ka ikhtisar itna hi kafi hai sulaya shor-e-duniya ne jagaya shor-e-mahshar ne sar-e-diwar-e-zindan chandni chhanti thi patton se diya tha qaid mein kya lutf aisi shab ke manzar ne zamane ki kashakash ka diya paiham pata mujh ko kahin tute hue dil ne kahin tute hue sar ne hain kitni mukhtalif baham tabae nasl insan ki rahe mazur ab tak jo chale the tajziye karne fida-e-rang-o-roghan sath-biin se kya gharaz us ko jagah di jis ko chashm o dil mein har ek ahl-e-jauhar ne