kaha khwab ne main adhura rahunga sahar tak magar bas main tera rahunga ki jab tak rahegi yun kachchi ye mitti main har roz paikar badalta rahunga ho jae na wo bhi kahin dur mujh se agar us ko main apna kahta rahunga kisi din ye saya bhi gal jaana hai gar yunhi dhup mein main jo chalta rahunga mujhe umr ne hai thaga kis tarah se mujhe to laga tha main bachcha rahunga safar zindagi ka thakata bahut hai main har marhale par thaharta rahunga mohabbat ka sauda hai ghate ka sauda meri ho na ho tu main tera rahunga suno 'ahad' koi takhallus nahin hai mera ahd hai main nibhata rahunga