koi pahle to koi baad mein ayyar hua apni khwahish pe jo wabasta-e-darbar hua ek tahi-jeb ki zari koi sunta kaise raij aise hi nahin sikka-e-dinar hua baat sultan se kya takhliye mein us ki hui maslahat-kesh batane pe na tayyar hua mukhbiri meri hui chashm-e-zadan mein kaisi qasr-e-dil hi mein sara tha ki mismar hua rah mein aae hue shana-e-kohsar ke sath abr takra ke jo palta to guhar-bar hawa apni haq-goi ke ba-wasf nigun-sari par dosh par apne mera sar hi mujhe bar hua han ye mumkin hai magar itna zaruri bhi nahin jo koi pyar mein haara wahi fankar hua ek nazar us ne uchatti hui ki thi 'yasir' aur phir shahr mein rahna mujhe dushwar hua