kaha mano mohabbat mein zarar hai tabiat ko sambhaalo dil kidhar hai khuda jaane kaha ghairon se kya aaj na wo dil hai na wo un ki nazar hai ajab manzil pe mujh ko ishq laya na rasta hai na koi rahbar hai wo kahe ko yahan aaenge ai dil yunhi kahte hain sab jhuti khabar hai na aao is taraf ai hazrat-e-ishq chale jao gharibon ka ye ghar hai