mat boliyo tu us se 'jahandar' dekhna khinche hue hai aaj wo talwar dekhna abru-kaman se tir-e-nigah mar dekhna lagti hai par dil ke mere yar dekhna giryan hun ek umr se puchha na yar ne rota hai kaun ye pas-e-diwar dekhna talim ashk-o-ah se li mere abr ne jo yun baras raha hai dhuan-dhaar dekhna sar-rishta kufr-o-din ka haqiqat mein ek hai jo tar-e-subha hai so hai zunnar dekhna yaro main kah raha tha ki dil mat de de ke dil aaya hai tang kya hi 'jahandar' dekhna