kaha na kuchh bhi daba di gai meri aawaz uda na tha ki shikasta hue par-e-parwaz ajib qaid mein dam hai ye kaisa jina hai ki zindagi hui jati hai maut ki ghammaz tadap tadap ke sar-e-dar mar gaya koi hayat kahiye ki marne hi ka hai ek andaz jigar ka soz mayassar nahin to kuchh bhi nahin jigar ke soz se saz-e-hayat ba-awaz koi salib pe kya soch ke latakta hai masih-e-waqt se puchhe zara koi ye raaz firaq-e-yar mein har lamha zindagi hai azab daraaz silsila-e-zist hai bahut hi daraaz gham-e-hayat ne shair bana diya 'khurshid' wagarna main kahan aur shairi ka ye eazaz