kaha ye kis ne ki wade ka e'tibar na tha wo aur baat thi jis se mujhe qarar na tha shab-e-visal wo kis naz se ye kahte hain hamare hijr mein sach-much tujhe qarar na tha baghaarta hai jo ab shaikh zohd ki baaten to kya ye ahd-e-jawani mein baada-khwar na tha faqat thi ek khamoshi mere sukhan ka jawab nahin nahin tujhe kahna hazar bar na tha ye mujh ko dekhte hi tu ne kyun churai aankh nigah-e-lutf ka kya main ummid-war na tha wahi thin aish ki raaten wahi the lutf ke din kisi ki yaad kisi ka jab intizar na tha hazar shukr ki nikla wo sadiqul-iqarar tumhein 'hafiz' ki baaton ka e'tibar na tha