kahin marne wale kaha mante hain wahi kar guzarte hain jo thante hain koi khel hai jaan par khel jaana wo ye kah ke akasr hamein tante hain mila ye jawab aaj rashk-e-adu par jo mane hamein us ko hum mante hain tadap kar idhar ho gaya koi thanda udhar aap daman hi gardante hain kahen kya shab-e-hijr katti hai kyun-kar jo dil par guzarti hai hum jaante hain mere dil ki kuchh qadr hogi unhin ko jo khota khara khub pahchante hain ye fiqre ye chaalen ye ghaten ye baaten tujhe o daghabaz hum jaante hain adu se bhi hai sulh manzur achchha jo ab tak na mani thi ab mante hain 'hafiz' us ki jis par hui mehrbani usi ko zamane mein sab mante hain